کے سرکاری اردو فورم پر خوش آمدید Avacs
Mehrbani ker ke is forum per register ho jayein takeh aap yahan topics per apni raye de sakein, Shukriya Smile

Please get yourself registered first so that you can acessthe Forum. Thanks Smile

Join the forum, it's quick and easy

کے سرکاری اردو فورم پر خوش آمدید Avacs
Mehrbani ker ke is forum per register ho jayein takeh aap yahan topics per apni raye de sakein, Shukriya Smile

Please get yourself registered first so that you can acessthe Forum. Thanks Smile
کے سرکاری اردو فورم پر خوش آمدید Avacs
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.
Log in

I forgot my password

Search
 
 

Display results as :
 


Rechercher Advanced Search

Latest topics
» Pakistan Zindabad room
Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain  EmptySat Mar 16, 2013 8:39 am by Faisal Khan

» koi yahan bhe zinda ha?
Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain  EmptySat Mar 16, 2013 8:35 am by Faisal Khan

» Agr #13 Admin hai tou Rang bazi kyun ???
Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain  EmptySat Mar 16, 2013 8:33 am by Faisal Khan

» Chief Admin
Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain  EmptySat Mar 16, 2013 8:25 am by Faisal Khan

» Admin ka new Pvt Window colour kesa hai
Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain  EmptySat Mar 16, 2013 8:20 am by Faisal Khan

» Admin ne Administrator bot ko Sm list mein q add kia?
Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain  EmptySat Mar 16, 2013 8:18 am by Faisal Khan

» Avacs Ke Administrators
Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain  EmptySat Mar 16, 2013 8:16 am by Faisal Khan

» ADMIN GOOGLE TRANSLATOR USE NAHI KARTA.
Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain  EmptySat Mar 16, 2013 8:14 am by Faisal Khan

» HYPER MODERATOR AUR SUPER MODERATOR KIA FARQ HAI
Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain  EmptySat Mar 16, 2013 8:09 am by Faisal Khan

» VIP USERS
Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain  EmptySat Mar 16, 2013 8:02 am by Faisal Khan

Poll
Gallery


Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain  Empty
Statistics
We have 47 registered users
The newest registered user is smsalah

Our users have posted a total of 381 messages in 91 subjects
Who is online?
In total there are 6 users online :: 0 Registered, 0 Hidden and 6 Guests

None

Most users ever online was 45 on Fri Sep 02, 2016 10:06 pm
Social bookmarking

Social bookmarking reddit      

Bookmark and share the address of AVACS Urdu Forum Par Khush-Amdeed on your social bookmarking website

Bookmark and share the address of کے سرکاری اردو فورم پر خوش آمدید Avacs on your social bookmarking website


Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain

Go down

Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain  Empty Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain

Post by Heart Buyer Thu Jan 26, 2012 12:48 pm

Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain
So us ke shahar main kuchh din thahr ke dekhtay hain

Suna hai rabt hai us ko kharab halon se
So apnay aap ko barbad karkay dekhtay hain

Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk us ki
So ham bhi us ki gali se guzar kar dekhtay hain

Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf
So ham bhi mojaze apnay hunar ke dekhtay hain

Suna hai bole to baton se phool jharatay hain
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhtay hain

Suna hai raat use chand takta rehta hai
Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain

Suna hai hashr hain us ki gazal si aankhain
Suna hai us ko hirn dasht bhar ke dekhtay hain

Suna hai din ko usay titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhtay hain

Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhtay hain

Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai
So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhtay hain

Suna hai us ke labon se gulab jalate hain
So ham bahar par ilzaam dhar ke dekhtay hain

Suna hai aaina tamasal hai jabin us ka
Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhtay hain

Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main
Mizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhtay hain

Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main
Palang zawaiya us ki kamar ke dekhtay hain

Suna hai us ke badan ke tarash aisay hain
Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhtay hain
Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhtay hain

Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka
So rahravaan-e tamannaa bhi dar ke dekhtay hain

Suna hai us ke shabistan se mutasil hai behisht
Makin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhtay hain

Rukay tu gardishain us ka tawaf karti hain
Chalay to us ko zamanay thahar ke dekhtay hain

Kisay naseeb ke be parahan usay dekhay
Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhtay hain

Khaniyan hi sahi sab mubalaghay hi sahi
Agar woh khwab hai tabir kar ke dekhtay hain

Ab us ke shahar main tharain ki kuch kar jayan
Faraz aao sitaray safr ke dekhtay hain
Heart Buyer
Heart Buyer

Posts : 104
Join date : 2012-01-17
Age : 111
Location : Pakistan

http://www.avacsheart.page4.me

Back to top Go down

Back to top


 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum